Recent

Khwaishein - Heroine [2012]




Khwaishon ka chehra kyun
Dhundhla saa lagta hai
Kyun an-ginat khwahishein hain
Khwahishon ka pehraa
Kyun thehraa sa lagta hai
Kyun ye ghalat khwaishein hain
Har mod par phir se mud jaati hai
Khilte huey pal me murjhati hai, Hai besharam
Phir bhi sharmaati hai khwaishein

Zindagi ko dheere dheere
Dasti hain khwahishein
Aansun ko peete peete
Hansti hain khwahishein
Uljhi hui kashmakash mein
Umar kat jaati hai

Aankhein mich jaaye jo ujaalon mein
Kis kaam ki aisi roshni
O o bhatka ke naa laaye jo kinaron pe
Kis kaam ki aisi kashti
Aandhi har dheere se laati hai
Vaada kar dhokha de jaati hai
Muh pher hans ke chidaati hai Khwahishein...

Zindagi ko dheere dheere
Dasti hain khwaishein
Ansoon ko peete peete
Hansti hai khwahishein

Uljhi hui kashmakash mein umar kat jaati hai

No comments